Mohabbat ki tabiyat mein yeh kaisa bachpana qudrat ne rakha hai
Kay
jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
Isse taie`d-e-taza ki zaroorat phir bhi rahti hai
Yaqeen ki aakhri had tak dilon mein lahlhati ho
Nigahon se tapakti lahu mein jagmagati ho
Hazaron tarhan ke dilkash haseen haalay banati ho
Isse izhar ke lafzon ki haajat phir bhi rahti hai
Mohabbat mangti hai yu gawahi apne hone ki
Ke jaise tifl e sada shaam mein ek beej boye
Aur shab mein bar ha uthe
Zameen ko khod ke dekhe ke poda ab kahan tak hai
Mohabbat ki tabiyat mein ajab takrar ki hu hai
Ke yeh iqrar ke lafzon ko sunney se nahin thakti
Bicharne ki ghari ho ya koi milne ki saa’t ho
Issey bas aik hi dhun hai
Kaho --------“mujh se mohabbat hai”
Kaho --------“mujh se mohabbat hai”
Samandar se kahin gahri, sitaron se siwa roshan
Paharon ki tarha qaim, hawaon ki tarhan daiem
Zameen se aasman tak jis qadr ache manazir hain
Mohabbat ke kanaye hain wafa ke istaa’re hain
Hamare hain
Hamare wastey ye chandni raatein sanwarti hain
Sunehra din nikalta hai
Mohabbat jis taraf jaye zamana saath chalta hai
Kuch aisi be sakooni hai wafa ki sarzaminon mein
Ke jo ahl e mohabbat ko sada baichen rakhti hai
Ke jaise phool mein khushbo ke jaise haath mein para
Ke jaise shaam ka tara
Mohabbat karne walon ki sahr raton mein rahti hai
Guman ke shakhchon mein aashyan banta hai ulfat ka
Yeh ain wasl mein bhi hijr ki khadshon mein rahti hai
Mohabbat ke musafir zindagi jab kaat chukte hain
Thakan ki kirchian chunte wafa ki ajrakein pahne
Tu koi dobti sanson ki dori tham kar
Dheeray se kahta hai
Yeh such hai na ...!
Hamari zindagi ek doosre ke naam likhi thi!
Dhundlaka sa jo aankhon ke qareeb o’ dor phela tha
Ussi ka naam chahat tha!
Tumhein mujh se mohabbat thi
Tumhein mujh se mohabbat thi !!
Mohabbat ki tabiyat mein
Yeh kaisa bachpana qudrat ne rakha hai!
0 comments:
Post a Comment